FREE SMS COLLECTIONS

 

SHAYARI SMS COLLECTIONS

 

Agar Pana Hai Manzil Ko
Apna Rehnuma Khud Ban
Wo Aksar Bhatak Jate Hain
Jinhe Sahara Mil Gaya

Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.

Ummido ki shama dil me mat jalana,
is jahan se alag duniya mat basana,
aaj bas mood me tha to SMS kar diya,
par roj intezar me palke mat bichana!

Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,
Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.

Is kadar hum yaar ko manane nikle, uski chahat ke hum deewane nikle, jab bhi use dil ka haal batana chaha, to uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle...

Na saathi na humsafar hai koi,
Na kisike hum na hamara hai koi,
Par aapko dekh ke keh sakate hai,
Ek pyaara sa dost hamara bhi hai koi.

Aansuo ke girne ki aahat nahi hoti, Dil ke tootne ki awaaz nahi hoti, Agar hota khuda ko ehsaas dard ka, to use dard dene ki Aadat nahi hoti..

Dil ke jajbaat ki aawaz nahi hoti,
Ikraar mein suron ki barsaat nahi hoti,
Nigahein bayan kar deti hai saari dastaan,
Dosti lafzon ki mohataaz nahi hoti.

Hamara har lamha chura liya aapne, aankhon ko ik chand dikha diya aapne. Hamein zindagi to di kisi aur ne, par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.

Rishto ne har qadam pe imtihaan liya,
Tanhayi ne har mod pe dhoka diya,
Zindagi se phir bhi shikayat nahi,
Kyuki zindagi ne aap jaise dost bhi diya.

Woh nadiyan nahi aansu they mere, jinpar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri, isliye hum aansu bahate rahe.

Meri “Dosti” woh rang hai jo aap chuda nahi paoge,
Bas itni gujarish hai aapse ki “SURF EXCEL” se mat dhona,
Varna doondte reh jaoge

Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum, Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..

Bheegy Mosam Ki Bheegi Si Raat
Bheegi Si Yaad
Bhuli Hui Baat
Bhula Hua Waqt
Wo Bheegi c Aankhai’n
Wo Beeta Hua Saath
Mubarak Ho Aap Ko
December Ki Pehli Barsaat

Ye pyari nigahein yaad rahengi, milkar na milne ki ada yaad rahegi, mumkin nahi ki main tumhe bhula dun, aur umar bhar tumhe bhi meri yaad rahegi.

Tum mujhe kabhi dil kabhi aakhon se pukaro, Ye hothon ke taqaluf to zamane ke liye hain.

Zindagi Ki Duain Na Do Dost,
Zindagi Kis Ko Raaz Aaye Hain,
Aap Tho Kanton Ki Baat Karte Ho,
Hum Ne Tho Phoolon Se Chot Khai Hain,
Kabhi Aansoon Mein Dhal Ke,
Kabhi Sher O Nagma Banke,
Milti Hain Naaz Ko Zindgai,
Kai Karvate Badal Kar…!

Dosti insan ki zaroorat hai, dilon pe dosti ki huqumat hai, aap ke pyar ki wajah se zinda hain warna khuda ko bhi hamari zaroorat hai.

Kuch Log Hum Se Khafa Hain,
Jane Kya Hui Hum Se Khata Hain.
Na Woh Hamein Yaad Karte Hain ,
Na Woh Hum Se Baat Karte Hain.
Shayad Yeh Hamari Chahat Ka Aasar Hai,
Jis Ko Chahate Hain Woh Hi Hum Se Juda Hain.

Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gham nahi, par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi..

Dil Ke Mandir Mein Mera Naam Liya Tha Kisne,
Main To Patthar Tha Mujhe Mom Kiya Tha Kisne,
Bewafa Mujhko Tu Kehta Magar Ye To Bata,
Aakhri Saans Talak Pyar Kiya Tha Kisne.

Is se pehle ki dilo me nafrat jaage, aao ek shaam mohabbat me bita di jaye.... Karke kuch mohabbat ki baatein, Is shaam ki masti badha di jaye.

Nafarat unse karo jo bhulana jante ho,Gussa unse karo jo manana jante ho,Pyar unse karo jo dil lutana jante ho,Aur dosti unse karo jo nibhana jante ho

Ja raha hu marne ko Aaj man udas haiyad nahi kiya aaj usne jisse mujhe aas hai mujhe bhul gaya wojo dil ko khas hai chal chal SMS kar,ye sab BAKWAS hein.

Teri doori ka ehsaas jab satane laga. Tere sath guzra har lamha yaad aane laga. Jab bhi bhulane ki koshish ki. Tu dil ke aur karib aane laga.

Jab bhi kisi ko kareeb paya hai, kasam khuda ki wahin dhokha khaya hai. Kyon dosh dete hein hum kanto ko... Zakham to humne phulo se paaya hai.

Har daag, daag nahi hota, har dost "Wafadar" nahi hota, Yeh to "DIL" milne ki baat hai Varna saat fero me bhi ["PYAAR"] nahi hota.

Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko, chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko. Chalega mehfil me jab zikr hamara koi, to tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.

Nazar se dor rehne wale ne mujhe dilse bhi dur kardiya, kabhi wada kiya tha mujhe hamesha hasane ka ,aaj usiki yaadon ne humko rone k liye majbur kardiya.,

Mohobbat ka imtihan aasan nahi; pyar sirf pane ka naam nahi. Muddatein beet jati hain kisi ke intezaar mein, ye sirf pal-do-pal ka kaam nahi.

Dil Hi Dil Mein,Unhe Chahte Hai,
Dil Hi Dil Mein,Unhe Pyaar Karte Hai,
Mushkil Hai Unka Raah Se Guzarna,
Fir Bhi Har Mod Pe,Unka Intezaar Karte Hai

Teri berukhi ko bhi rutba diya humne. Pyar ka har farz ada kiya humne. Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe; aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.

Kisse Se Mange Dawa Zakhmon Ki
Sabhi Ne Chotein Khaain Hai
Kisi Ka Sanam Bewafa Hai To
Kisi Ka Sajan Harzaai Hai

Tanhai bhari zindagi ka safar mila; na saathi, na humsafar mila. Hum diya jalta chhod gaye the unke liye; jab vapis lote to jalta hua ghar mila.

Khoob Gaye Pardes,
Ke Apne Deewaron-Dar Bhool Gaye….
Sheesh Mahal Ne Aisa Ghera
Mitti Ki Ghar Bhool Gaye
Uski Galiyoon Se Jab Laute
Apna Bhi Ghar Bhool Gaye

Na jaane tum pe itna yakin kyon hai? Tera khayal bhi itna haseen kyon hai? Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai; to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai?

Sabhi ko sabh kuch nahi milta, nadi ki har lehar ko sahil nahi milta, yeh dil walon ki dunia hai dost, kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.

Muskrahat To Baant Te Hai Sub
Ghum Mein Bass Dost Pass Aate Hain
Ye Haqeeqat Hai Mere Dost, Maan Lo Is Ko
Ashq Aankhon Mein Hi To Aate Hain

Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne, afsos unhe hum par aitbar nahi, mat pucho kya gujarti hai dil par, jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..

Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they hum, lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..

Dil to unke seene mein bhi machalta hoga..
husn bhi so-so rang badalta hoga..
Uthti hongi jab nagahein unki..
Khud "khuda" bhi gir-gir ke sambhalta hoga..

Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda, zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda, vaada kiya sitaron ne saath dene ka, subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.

Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi, phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.

Aayi Jo Zindagi Mein
Meri Inquilab Aagaya
Murde Jaise Dil Mein
Jaan Aagayee

Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin, bhool aaye hum apni takdeeren kahin. Agar mile tumko kahin to utha lena, mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.

Marishun To Khud Maut Ne Mate Jan Thai Jashun
Rahishu Aag Main To Pan Baag No Saman Thai Jashun
Uchhala Mari Amne Pachha Na Val O Sagar
Kinaro Aavshe To Ame Khud Tofan Thai Jashun

Bolti hai dosti, chup rehta hai pyar. Hasati hai dosti, rulata hai pyar. Milati hai dosti, juda karta hai pyar. Phir bhi kyun dosti chodkar log karte hain pyar??

Gair Ko Dard Sunaane Ki
Kya Zaruurat Hain?
Apane Zagade Mein Zamaane
Ki Kya Zaruurat Hain?

Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.

Hum Gam Mei Baite The,Wo Hass Raha Tha
Hum Ro Rahe The Wo Muskura Raha Tha
Unki Baraat Aa Rahi Thii Mera Janaza Ja Raha Tha

Bheeg jaati hain palkein tanhayi mein, darte hain koi jaan na le. Pasand karte hain tez barsaat mein chalna, kahi rote hue ko koi pehchaan na le.

Kaair Hun Nisbato Ki Nazar Mujhse Mang Lo
Udne Ki Arzu Hai To Par Mujhse Mang Lo
Ek Ghar Hai Dil Ka, Dusra Ghar Hai Nigah Ka
In Do Gharo Mein Koi Bhee Ghar Mujhse Mang Lo

Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain, hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain. Teri dosti ke saaye mein zinda hain, hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain.

Bazu-o-mein dum rakhta hun,
Dil mein gum rakhta hun,
Pata tha SMS ayega tera,
Isliye DISPRIN sang rakhta hun.

Fizao ke badalne ka intazar nahi karte, Andhiyo ke rukne ka intazar nahi karte, SMS kar dete hai hum har roz, Hum kanjus ke sms ka intazar nahi karte.

Dil ka dard dil todne wale kya jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.

majbur the halat se mohhabat jata na sake, khate rhe hum. ZAKHAM HUM kisi ko bta na ske. chahto ki had se chaha use, sirf apna dil nikal kar dikha na ske

Aey mere SMS mere dost ke pass jana,
Agar wo so raha ho to shor mat machana,
Jab wo jage to dhire se 'Muskarana',
Phir kehna "KANJUS" SMS karo!

Aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho,
Saya sa koi lehraye to lagta hai ki tum ho,
Ab tumhi batao tum kya kisi bhoot se kam ho?

Kya lekar aaya tha?
Kya lekar jayega?
Mujhe SMS na karke zaalim,
Tu kitna chillar bachayega?

Har kadam pe aapka ehsaas chahiye, Mujhe aapka saath apne paas chahiye, Khuda bhi ro pade hamari judai se,
Aisa ek rista khaas chahiye.

Jab jab ghire badal teri yaad ayi,
Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad ayi,
Jab-jab mein bhiga teri yaad ayi,
Ab raha nahin jata, Chatri Lauta de Bhai.

Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama-Mama kehke bulaate hain.

Hum na hote to aapko gazal kaun kehta, apke chehre ko gulab kaun kehta,
Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta.

Ankhein khuli ho to chehra tumhara ho,
Aankhein bandh ho to sapna tumhara ho,
Mujhe maut ka dar na hoga,
Agar kafan ki jagah dupatta tumhara ho.

Dil mein aapki yaad basane ke liye, Pura dil khali karna pada, Magar dil itna chota padgaya ki, Dhadkan pe bhi aapka naam likhna pada.

Pyara sa ehsas ho tum, har pal mere pas ho tum,
Jine ki ek aas ho tum, mann ka ek vishwas ho tum,
Shayad is liye.... Kuch khas ho tum.

Kash tum chanda aur mein sitara hota, Aasman par ek aashiyana hamara hota, Loog tumhe door bahut door se dekhte, Aur tumhe chune ka haaq sirf hamara hota.

Dil mein umeedo ki shamma jala rakhi hai,
Humne apni alag duniya basa rakhi hai,
Is umeed ke saath ki ayega SMS aapka,
Humne mobile par nazrein jama rakhi hein.

Kismaat hum pe itni ehasan kar jaye, Yeh saare haseen khwaab haqeekat ban jaye, Na karenge dua koi aur khuda se, Agar zindagi ke safar mein aapka saath mil jaye.

Unka ashiyana dil mein basa rakha hai,
Unki yadon ko seene se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aate hain wohi kyun,
Vaise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai.

Bin badal barsath nahi hota, Suraj dube bina raat nahi hota, Issi liye yaar kisika dil nahi todna, Kyon ki dil tutne ki kabi awaz nahi hota


Naa hume aapse sikwa hai, na sikayat hai, Hume to baas aap hi se chahat hai, Koi aa kar keh de aapko mohabbat nahi hai humse, Hum to yahi kahenge aapko jhooth bolne ki ad

Baag ki har kali, khushbu de apko,
Suraj ki har kiran, nai subah de apko,
Hum to kuch dene ke kabil nahi hain,

Ashq pochkar mere, Hasaya hai mujhe, Meri galti thi fir bhi, Seene se lagaya hai mujhe, Kaise pyaar na ho aise dost se, Jiski dosti ne jeena sikhaya hai mujhe

Zindagi behaal hai,
Sur hai na taal hai,
Msg box bhi kangal hai,
kya aapki sms factory me hartal hai,
Yaar kuch to bhejo ye meri mobile ki zindagi ka sawaal hai.

Apni Mast nigah me doob jaane de Ghaalib,
Bara Haseen Samandar hai yeh khudkushi ke liye..

Hum dua karte hain Khuda se,
ki wo aap jaisa dost aur na banaye,
Ek Cartoon jaisi cheez hai humare paas,
kahin wo bhi common na ho jaye!

Zindagi se koi cheez udhar nahi mangi main ne Ghaalib,
Kafan bhi lenge to zindagi apni de kar..!!

Tere DIL mein rahenge SMS bankar,
Dhadkano mein bajenge RINGTONE bankar,
Kabhi apne DIL se juda mut Samajana,
Hum tere saath chalenge NETWORK ban

Sochte The Mar Jayainge Agar Wo Naa Mile
Par Unhone Har Humse Juthe Waade The Kiye
Har Lamha Hame Baaton Se Behlate Rahe
Dekho Behlane Ke Bahane Hamari Umr Badhate Rahe

Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gam nahi,
Par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi.

Hum Gam Mei Baite The,Wo Hass Raha Tha
Hum Ro Rahe The Wo Muskura Raha Tha
Unki Baraat Aa Rahi Thii Mera Janaza Ja Raha Tha

Aaj didar, kal yaar, parson pyaar,
phir ekrar, phir intezar, phir takrar,
phir darar, sari mehnat bekar,
aur aakhir mein ek aur devdas at beer bar.

 

Go Top

alt alt alt

 

"Er. Rameshwar Prasad invites you to Read Status, Quotes and SMS. Our Contact Address is VAASTU INTERNATIOAL, 49 C, Pocket- B, S.F.S. Flats, Mayur Vihar, Phase- 3, New Delhi-110096, India. Our Contact Nos. are +91-11-22615299 (Landline), +91-9810105218 (Mobile). You can e-mail us on following mail IDs vaastuinternational@gmail.com or vaastuinternational@yahoo.com"